Jeevit ko aas hai,
Mrit ko na koi pyaas hai.
Shvaas chali, seva na phali,
Ab mrit-shayya pe pada,
Kyon ye ashru ki bauchhaar hai?
Haan, neem-si kadvi thi vaani,
Prem ki bhaasha kabhi na jaani.
Par jisne ki meri seva,
Unke rin ka mujhe abhaas hai.
Ab antim vidaa ki bela hai aayi,
Sabko mere jaane ki badhaayi.
Mera antim pranaam sveekaar karo,
Katu vachanon ke liye maaf karo.
Ab ghar na kisi ka gandaaoonga,
Apna lota aur tauliya saath le jaaoonga.
Bas ek baat phir dohraaoonga—
Ki jo shesh hain, ve vishesh hain.
Un shesh ko prem do, sammaan karo,
Kyonki—
Jeevit ko aas hai,
Mrit ko na koi pyaas hai.