Trishul pe thaame kashi, Kailash ka wo wasi. Poojey jise nar nari, Aisa hai wo tripurari. Thame triloki ki kaman, Kiye jisne hala-hal ka paan. Jataon mein jiske Ganga ki dhar, Shakti hai jiska aadhar. Adi tu Anadi tu, Khand tu Akhand tu, Vyakt tu Avyakt tu, Ant tu Anant tu, Kahne ko ek shabd ek matra hai, Shav se Shiv tak ki yatra hai.
Haal-e-dil likhta hu, Kuchh apni kehta, Kuchh tumhari sunta hu, Bas ek lafz khojta hu.