Kabhi anjan chita ki agni par, rotiya seykatey dekha hai kya;
Kabhi kisikey matam mein, jashn ki wajahn khojtey dekha hai kya;
Kabhi bhukh sey bilakhtey shishu ki pukar ko, nazarandaaz kartey dekha hai kya;
Kabhi kisi abla ki pukaar par krishnn naa aye, aisa dekha hai kya.
Dekchuka badalti insaaniyat key kayee rang;
'Aalam badla, awaam badli na badla ye kaal chakrr;
Aur haar kar aaj tushey poochta hai ye kaal chakrr.
Kabhi kisi azeez, ki chita ki asthiyaan sametney ka waqt na ho,
Aisa dekha tha kya;
Kabhi kisi key gham mein pahunchey,
Gham-khwar ko gham-khwaree
ka waqt na ho,
Aisa dekha tha kya;
Kabhi kisi key kokh mein palti aulaad nari ho,
Sirf isliyae, qatl hotey dekha tha kya;
Kabhi kisi abla ki aan par aanch aaye,
Aur krishnn naa aye aisa dekha tha kya.
Kab talak qal-qal behti rahey m'asoomon key rakt ki ye dhaar;
Kab talak macha rahey is lok mein hahakaar;
Kab talak sunta rahun in bhatakti roohon ka shor;
Kab reham nazar karega tu maalik is mrityulok ki ore.