Jo waqt kay in lamhon pe mera ikhtiyaar hota;
Zindagi ki bandishon mein yun na girftaar hota;
Haqeeqat aur tasawwur mein ye faaselah na baar-baar hota;
Nazar aandaaz karti in nigahon ko har dam mera intezaar hota;
Har zindagi, har waqt, har lamha, tujhe sirf mujhse pyaar hota;
Jo waqt kay in lamhon pe mera ikhtiyaar hota.