Skip to main content

Posts

Socha Na Tha Kabhi Pyaar Hojayega

AZAAD PARINDO SA PARWAAZ, MANN MERA KABHI GIRAFTAAR HOJAYEGA; NAFSPARAST   JASAAMAT   MERA KABHI FARAAKH-DIL   HOJAYEGA; SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA . BE-NIYAAZ    SA  MANN MERA JAZBAATON KA KABHI GULAM HOJAYEGA; TANHAAI KE ‘AALAM MEIN DOOBA MANN MERA KABHI KISI KA TALABGAR   HOJAYEGA; SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA MAUJON SE BHAREY MERE JAZABAATON KI SHORISH   KA   KABHI  ISRAAR  HOJAYEGA; MASROOFIYAT SE BHARI ZINDAGI MEIN KISI KE LIYE  DIL  BEKARAR HOJAYEGA; SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA. ZINDAGI KA VEERANA PHIR SE GULZAAR HOJAYEGA; GIRAHO SE BHARA MERI MANZIL KA SAFAR MUSKURA KAR YUN PAAR HOJAYEGA; TERI EK NAZAR MEIN YE DIL TERA PARASTAAR   HOJAYEGA; SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA; SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA.                                           ...

Kaal Chakrr Ki Vytha

Kabhi anjan chita ki agni par, rotiya seykatey dekha hai kya; Kabhi kisikey matam mein, jashn ki wajahn khojtey dekha hai kya; Kabhi bhukh sey bilakhtey shishu ki pukar ko, nazarandaaz kartey dekha hai kya;  Kabhi kisi abla ki pukaar par krishnn naa aye, aisa dekha hai kya. Dekchuka badalti insaaniyat key kayee rang;  'Aalam badla, awaam badli na badla ye kaal chakrr; Aur haar kar aaj tushey poochta hai ye kaal chakrr. Kabhi kisi azeez, ki chita ki asthiyaan sametney ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key gham mein pahunchey, Gham-khwar ko gham-khwaree ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key kokh mein palti aulaad nari ho, Sirf isliyae, qatl hotey dekha tha kya;  Kabhi kisi abla ki aan par aanch aaye, Aur krishnn naa aye aisa dekha tha kya. Kab talak qal-qal behti rahey m'asoomon key rakt ki ye dhaar;  Kab talak macha rahey is lok mein hahakaar;  Kab talak sunta rahun in bhatakti roohon ka shor;  Kab reham nazar karega tu maalik is mri...