Skip to main content

Socha Na Tha Kabhi Pyaar Hojayega

AZAAD PARINDO SA PARWAAZ, MANN MERA KABHI GIRAFTAAR HOJAYEGA;
NAFSPARAST JASAAMAT MERA KABHI FARAAKH-DIL HOJAYEGA;
SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA.

BE-NIYAAZ  SA  MANN MERA JAZBAATON KA KABHI GULAM HOJAYEGA;
TANHAAI KE ‘AALAM MEIN DOOBA MANN MERA KABHI KISI KA TALABGAR HOJAYEGA;
SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA

MAUJON SE BHAREY MERE JAZABAATON KI SHORISH KA KABHI ISRAAR HOJAYEGA;
MASROOFIYAT SE BHARI ZINDAGI MEIN KISI KE LIYE DIL BEKARAR HOJAYEGA;
SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA.

ZINDAGI KA VEERANA PHIR SE GULZAAR HOJAYEGA;
GIRAHO SE BHARA MERI MANZIL KA SAFAR MUSKURA KAR YUN PAAR HOJAYEGA;
TERI EK NAZAR MEIN YE DIL TERA PARASTAAR HOJAYEGA;
SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA;
SOCHA NA THA, KABHI PYAAR HOJAYEGA.
                                         
                                                               ............ABHISHEK TOMAR

Popular posts from this blog

Kaal Chakrr Ki Vytha

Kabhi anjan chita ki agni par, rotiya seykatey dekha hai kya; Kabhi kisikey matam mein, jashn ki wajahn khojtey dekha hai kya; Kabhi bhukh sey bilakhtey shishu ki pukar ko, nazarandaaz kartey dekha hai kya;  Kabhi kisi abla ki pukaar par krishnn naa aye, aisa dekha hai kya. Dekchuka badalti insaaniyat key kayee rang;  'Aalam badla, awaam badli na badla ye kaal chakrr; Aur haar kar aaj tushey poochta hai ye kaal chakrr. Kabhi kisi azeez, ki chita ki asthiyaan sametney ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key gham mein pahunchey, Gham-khwar ko gham-khwaree ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key kokh mein palti aulaad nari ho, Sirf isliyae, qatl hotey dekha tha kya;  Kabhi kisi abla ki aan par aanch aaye, Aur krishnn naa aye aisa dekha tha kya. Kab talak qal-qal behti rahey m'asoomon key rakt ki ye dhaar;  Kab talak macha rahey is lok mein hahakaar;  Kab talak sunta rahun in bhatakti roohon ka shor;  Kab reham nazar karega tu maalik is mri...

Nav Prasthaan

Jin bandhanon mein kiya tha aaghaat, Un sabse aaj kshama maangta hoon. Parajay nahin yeh, saahas hai mera, Andhiyaare ko ab main tyaagta hoon. Kal ke dosh jala doon agni mein, Aaj se nayi disha banaaunga. Apne man ki jwaala se hi, Jagat mein shaanti jagaunga. Nahin jhukunga ab apradh-bodh se, Nahin rukunga pashchataap ki raah par. Viraam nahin yeh, ughosh hai mera— “Main chal pada nayi subah ke saath par!”

Zarurat ke Rishtay

Khushiyan na dhoondh gairoñ ki baatoñ mein, Sukoon nahi milta saugaatòñ mein. Mat kar gumaan koi samjhega dard ko, Har chehra nahi waaqif jazbaatoñ mein. Jab tak zaruratein poori hongi, mohabbat rahegi, Tere rukte hi nafrat ki siyasat chalegi. Rishte ab faayde ki zubaan bolte hain, Wafa ab matlab ki saugaat hoti hai.