Mere labon ki muskan se ye na samajh lena ke Zindagi Kamil hai,
Bas us rab ka naam leta,
Uski naimaton ka shukriya ada karta hun,
Aur har roz ki tarah is zindagi ke safar par nikal padta hu.
Kabhi anjan chita ki agni par, rotiya seykatey dekha hai kya; Kabhi kisikey matam mein, jashn ki wajahn khojtey dekha hai kya; Kabhi bhukh sey bilakhtey shishu ki pukar ko, nazarandaaz kartey dekha hai kya; Kabhi kisi abla ki pukaar par krishnn naa aye, aisa dekha hai kya. Dekchuka badalti insaaniyat key kayee rang; 'Aalam badla, awaam badli na badla ye kaal chakrr; Aur haar kar aaj tushey poochta hai ye kaal chakrr. Kabhi kisi azeez, ki chita ki asthiyaan sametney ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key gham mein pahunchey, Gham-khwar ko gham-khwaree ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key kokh mein palti aulaad nari ho, Sirf isliyae, qatl hotey dekha tha kya; Kabhi kisi abla ki aan par aanch aaye, Aur krishnn naa aye aisa dekha tha kya. Kab talak qal-qal behti rahey m'asoomon key rakt ki ye dhaar; Kab talak macha rahey is lok mein hahakaar; Kab talak sunta rahun in bhatakti roohon ka shor; Kab reham nazar karega tu maalik is mri...