Khuli qitab na ban,
wo kab tere raaz padh jayenge tujhe ilm na hoga.
Tujhe jaan,
teri hi hasi udayenge tujhe ilm na hoga.
Khuli qitab na ban,
wo kab teri kahani jaan jayenge tujhe ilm na hoga.
Chuskiyon ki mez pe,
kab charche ka vishay banayenge tujhe ilm na hoga.
Khuli qitab na ban,
wo kab tujhe dost kehte kehte, muh mod jayenge tujhe ilm na hoga.
Is rang-o-bu ki duniya mein,
kis waqt rang badal jayenge tujhe ilm na hoga.