Skip to main content

Aisa Kyun Hota Hai

Kisi Ne Kaha Tha,
Ke Intehan Tak Chaho To Mazee Ki Har Baat Bhula Wo Tumhara Hojayega,
Kise Khabar Thi Ke Lafz Ban Wo Naam Phir Uski Zuban Par Aayega.

Mazee Ki Har Baat Bhula Apnaya Unhe,
Tut Kar Chaha Unhe,
Jab Jab Roothe, Tab Tab Manaya Unhe,
Khud Haar Kar Jeetna Sikhaya Unhe,
Apne Ashqon Ko Poochh Har Waqt Hasaya Unhe,
Apni Zindagi Ka Ehem Hissa Banaya Unhe,
Dhadkan Hi Nahi Sason Mein Basaya Unhe.

Na Jane Kahan, Kis Mod Par, Kya Hogaya,
Mohabbat Ki Dor Se Piroya Khwabon Ka Har Gauhar Bikhar Gaya,
Waqt Ki Dhul Pochh Wo Phir Hamare Darmayaan Hogaya,
Apni Bebasi Ka Ehsaas Aaj Phir Hogaya,
Ke Itne Saalon Baad Aaj,
Aaj Phir Kahin Ateet Ki Parchhaa'een Mein Kho Gaya,
Wo Rista Hua Zakhm De Kar Bhi Unki Yaadon Ka Hissa Bangaya,
Aur Main Deewano Ki Tarah Chah Kar Bhi Oas Hogaya.

Na Jane Kyun Koi Kehta Hai,
Ke Intehan tak chaho to mazee ki har baat bhula wo tumhara Hota Hai.

Popular posts from this blog

Kaal Chakrr Ki Vytha

Kabhi anjan chita ki agni par, rotiya seykatey dekha hai kya; Kabhi kisikey matam mein, jashn ki wajahn khojtey dekha hai kya; Kabhi bhukh sey bilakhtey shishu ki pukar ko, nazarandaaz kartey dekha hai kya;  Kabhi kisi abla ki pukaar par krishnn naa aye, aisa dekha hai kya. Dekchuka badalti insaaniyat key kayee rang;  'Aalam badla, awaam badli na badla ye kaal chakrr; Aur haar kar aaj tushey poochta hai ye kaal chakrr. Kabhi kisi azeez, ki chita ki asthiyaan sametney ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key gham mein pahunchey, Gham-khwar ko gham-khwaree ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key kokh mein palti aulaad nari ho, Sirf isliyae, qatl hotey dekha tha kya;  Kabhi kisi abla ki aan par aanch aaye, Aur krishnn naa aye aisa dekha tha kya. Kab talak qal-qal behti rahey m'asoomon key rakt ki ye dhaar;  Kab talak macha rahey is lok mein hahakaar;  Kab talak sunta rahun in bhatakti roohon ka shor;  Kab reham nazar karega tu maalik is mri...

Nav Prasthaan

Jin bandhanon mein kiya tha aaghaat, Un sabse aaj kshama maangta hoon. Parajay nahin yeh, saahas hai mera, Andhiyaare ko ab main tyaagta hoon. Kal ke dosh jala doon agni mein, Aaj se nayi disha banaaunga. Apne man ki jwaala se hi, Jagat mein shaanti jagaunga. Nahin jhukunga ab apradh-bodh se, Nahin rukunga pashchataap ki raah par. Viraam nahin yeh, ughosh hai mera— “Main chal pada nayi subah ke saath par!”

Zarurat ke Rishtay

Khushiyan na dhoondh gairoñ ki baatoñ mein, Sukoon nahi milta saugaatòñ mein. Mat kar gumaan koi samjhega dard ko, Har chehra nahi waaqif jazbaatoñ mein. Jab tak zaruratein poori hongi, mohabbat rahegi, Tere rukte hi nafrat ki siyasat chalegi. Rishte ab faayde ki zubaan bolte hain, Wafa ab matlab ki saugaat hoti hai.