Sahar aur shafaq roz hoti thi,
Imroz kuchh mukhtalif kyun hai ye sochta hun,
Bas ek lafz khojta hun.
Raah-e-zindagi ke safar khuch khaas na tha,
Imroz kuchh mukhtalif kyun hai ye sochta hun,
Bas ek lafz khojta hun.
Yun to bay-rang sey they zindagi ke lamhey,
Par aaj lamha bhi sadee kyun hai ye sochta hun,
Bas ek lafz khojta hun.
Bay-lagaam zindagi pe ho kisi ka ikhtiyaar,
Tha aazaad parinda, par ab hona hai girftaar,
Kal tak khayal tha apna,

Imroz banna hai kisi ka khayal,
Karun bayan kaise ye sochta hun,
Bas ek lafz khojta hun.
Haan shayad ye us roz ki hi baat thi,
Haan wahin se in sawalon ki shuruwaat thi,
Jis din duzdeedah-nazar dekhi thi,
Us roz se yahin sochta hun,