Kabhi anjan chita ki agni par, rotiya seykatey dekha hai kya; Kabhi kisikey matam mein, jashn ki wajahn khojtey dekha hai kya; Kabhi bhukh sey bilakhtey shishu ki pukar ko, nazarandaaz kartey dekha hai kya; Kabhi kisi abla ki pukaar par krishnn naa aye, aisa dekha hai kya. Dekchuka badalti insaaniyat key kayee rang; 'Aalam badla, awaam badli na badla ye kaal chakrr; Aur haar kar aaj tushey poochta hai ye kaal chakrr. Kabhi kisi azeez, ki chita ki asthiyaan sametney ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key gham mein pahunchey, Gham-khwar ko gham-khwaree ka waqt na ho, Aisa dekha tha kya; Kabhi kisi key kokh mein palti aulaad nari ho, Sirf isliyae, qatl hotey dekha tha kya; Kabhi kisi abla ki aan par aanch aaye, Aur krishnn naa aye aisa dekha tha kya. Kab talak qal-qal behti rahey m'asoomon key rakt ki ye dhaar; Kab talak macha rahey is lok mein hahakaar; Kab talak sunta rahun in bhatakti roohon ka shor; Kab reham nazar karega tu maalik is mri...
Haal-e-dil likhta hu, Kuchh apni kehta, Kuchh tumhari sunta hu, Bas ek lafz khojta hu.