Skip to main content

Posts

Shiv Tak Ki Yatra hai

Trishul pe thaame kashi, Kailash ka wo wasi. Poojey jise nar nari, Aisa hai wo tripurari. Thame triloki ki kaman, Kiye jisne hala-hal ka paan. Jataon mein jiske Ganga ki dhar, Shakti hai jiska aadhar. Adi tu Anadi tu, Khand tu Akhand tu, Vyakt tu Avyakt tu, Ant tu Anant tu, Kahne ko ek shabd ek matra hai, Shav se Shiv tak ki yatra hai.

Antim Abhilasha

Lo aaj chala main duniya se, Saathi na mila koi dharti par. Jo apna sa lagu tumhe, Do phool chadhana arthi par. Ye maun asthiyan meri ab na tumhe satane aayengi, Apne ghamon ko saath liye yun agni mein jal jayengi. Balkha kar jab dhuna uthe padh lena tum inki bhasha, Yehi meri antim abhilasha, bas yehi meri antim abhilasha.