Skip to main content

Posts

Kash Ke Is Waqt Ko Aadat Hoti

Kaash Ke Ai Waqt Us Waqt Tujhe Araam Ki Jaroorat Mehsus Hui Hoti, Muddaton Baad Hui Mulaqat Chand Lamho Ki Na Hoti. Kaash Ke Ai Waqt Us Waqt Tune Fursat Li Hoti, Abhi To Deedar Hua Hi Tha Unka, Roomani Chhayi Hi Thi, Aur Wo Rukhsati Ki Baat Na Hoti. Kaash Ke Ai Waqt Us Waqt Tujhe Bhi Need Aayi Hoti, Mohabbat Se Bhari Unki Har Baat, Ek Dujhe Mein Khone Ki Wo Raat, Chand Ghanton Mein Yun Kaamil Na Hoti. Kash Ke Ai Waqt Tujhe Bhi Kabhi Mohabbat Hui Hoti, Duriyon Ki Bechaini Ashiqon Mein Chhayi Na Hoti, Unse Milne Ki Bekarari Mein Aankhein Bhar Aayi Na Hoti. Kash Ke Ai Waqt Tujhe Mauke Ki Nazaqt Samajhne Ki Aadat Hoti, Yun Sitamgar Na Hota Tu, Khamoshi Se Pasarti Ye Tanhayi Na Hoti, Lamhe Yaadon Mein Na Tabdeel Hote, Jo Tujhe Bhi Kabhi Kisi Ki Yaad Satai Hoti. …………………….Abhishek Tomar

Sawaal Parindo Se

Neel Gagan Ke In Parindo Se Aaj Mera Sawal Hai, Jo Ho Agar Fursat To Guftagu Ke Bare Mein Kya Khayal Hai. Parindo Ne Jawab Diya, Aaj Kaise Hume Hai Yaad Kiya, Hum To Har Waqt Tumhare Paas The, Tum To Apano Mein Vyast The, Fursat Tumhe Hai Aaj Mili, Hum Bhi To Jaane Humse Milne Ki Sudh Kaise Hai Jagi. Zindagi Ki Daud Mein Sab Kuchh Peeche Hai Chhut Gaya, Hun Bulandi Ke Shikhar Par, Khushiyaan Baatne Ko Na Koi Yaar Hai, Ho Raha Prateet Aisa Jaise Kuber Dhanvaan Hokar Bhi Lachaar Hai, Hey Neel Gagan Ke Parindo Aaj Tumse Ye Sawal Hai, Jo Ho Agar Fursat To Guftagu Ke Bare Mein Kya Khayal Hai. Parindo Ne Jawab Diya, Tu Bewajah Hi Dukhi Aur Naraz Hai, Kyun Sochta Hai Tu Tanha Jab Hum Tere Yaar Hai, Fursat Hi Fursat Hume Hai Aaj Mili, Bhichdi Yaari Ki Kaliyaan Phool Banke Hai Aaj Khili, Guftagu Ka Kya Khoob Tera Khayal Hai, Poochle Aaj Humse Job Bhi Tera Sawal Hai. Apno Ko Maine Bhi Hai Khoya, Apno Ko Tum Bhi Khote Ho, Gamzada Mai Bhi Hota Hun, Gamza...